रामायण सगा | Ramayan Saga Lyrics – Wokal

मर्यादा पुरषोत्तम श्री राम का अति पावन भजन “रामायण सगा | Ramayan Saga Lyrics – Wokal” – के द्वारा गाया गया है। इस भजन में राम भक्ति की महिमा का बखान किया गया है।


Ramayan Saga Lyrics

Praja Ke Vo Pyaare The
Dharti Ke Vo Sitaare The
Kehlate Vo Purshottam Bhi
Vo Pyaare Ram Humare The

Ik Aur Kahani Ban Ne Lagi
Janak Ka Jab Sandesha Aya
Var Banega Vo Sita Ka
Shiv Dhanush Jo Utha Paya

Utha Saka Na Koi Bhi Usko
Aisi Usme Shakti Thi
Palbhar Me Hi Dhanush Uthaya
Ram Naam Me Bhakti Thi

Svyamvar Ka Toh Ant Huai
Par Vivah Ka Ye Arambh Tha
Ab Naya Jo Adhyay Nikat Hai
Uska Ye Prarambh Tha

Kakeyi Ne Rachi Aisi Maya
Vachan Raja Ko Smaran Karaya
Raj Path Sab Mile Bharat Ko
Mile Ram Ko Van Ka Saya

13 Saal Vo Beet Chale Aur
Chaudva Tha Bass Akhiri Varsh
Socha Na Tha Sapne Me
Fir Kuch Aisa Ghata Anarth

Shrupnakha Ki Nazar Lagi
Sunder Kanya Akaar Liya
Lubha Saki Na Laxman Ko Toh
Usne Fir Prhaar Kiya

Shanbhar Me Hi Ang Gawaye
Jaise Hi Vo Aage Badi
Kaan Kate Aur Naak Kati Bass
Dekh Rahi Vo Khadi Khadi

Badla Chaha Khar Dooshan
Ne Toh Unko Maut Mili
Ravan Ko Ye Pata Chala
Toh Usne Aisi Chaal Chali

Mareechi Ko Usne Hukum Diya
Swarn Mrig Ka Roop Lia
Bhramjaal Tha Aisa Racha
Ke Sab Kuch Hi Anuroop Hua

Hiran Ke Peeche Ram Chale
Ram Ke Piche Chale Lakhan
Roop Liya Ik Sadhu Ka Mata Ka
Usnne Kara Haran

Samne Jo Phir Gidh Adaa
Takat Se Apni Puri Lada
Apni Himmat Pe Atal Raha
Datkar Ravan Se Khoob Lda

Duskarm Ka Hua Charam
Ab Na Milegi Usse Sharan
Jo Paap Kiya Hai Usne Ab
Tae Hi Hai Bas Uska Maran

Param Bhakt Se Milan Hua
Drishya Aisa Na Dekha Tha
Pawan Putra Kehlate Vo
Bal Bhi Sabse Uncha Tha

Sagar Ko Bhi Paar Kara
Udte Chale Hanuman
Pohanch Vatika Sita
Ko Di Apni Pehchaan

Ek Aur Anarth Vo Kar Baitha
Ab Hoga Kya Na Socha Saka
Aag Lagake Punch Ko
Lanka Ko Angni Me Jhoka

Pathaar Pe Likh K Shri Ram
Setu Ka Karke Nirmaan
Vanar Sena Chali Saath
Aur Ravan Tha Bilkul Anjaan

Mayajaal Tha Indrajeet Ka
Laxman Usko Samajh Na Paye
Bhakti Aisi Bajrangi Ki
Booti Sang Parvat Le Aaye

Teer Jo Chode Prabhu Ne Toh
Kumbh Karan Ka Hua Vinash
Teero Ne Fir Laxman Ke
Meghnaath Ka Kiya Tha Naash

Ek Sir Kata Aur Duja Aya
Naam Tha Uska Dushaanun
Marg Bataya Ant Ka Jisne
Vo Tha Bhai Vibhishan

Dharti Mein Kampan Si Uthi
Dhanush Se Choota Ram Baan
Raam Naam Ko Japke Mara
Jaise Hi Nikle Uske Praan

Samya Chakra Jo Thum Sa Gaya
Vyakulta Ka Ant Hua
Sabki Aanko Me Nami Si Thi Jab
Siya Ram Ka Milan Hua

Shubh Din Dekho Aya Hai
Vanvaas Ka Unke Hua Hai Ant
Siya Ram Sang Laute Toh
Deep Jale Aur Laga Basant

Par Kashto Ka Ye Ant Na Tha
Prarambh Naye Dukho Ka Ye
Mata Sita Ko Saabit Karna
Agni Pariksha Ka Samay

Chaar Log Ab Kahenge Kya
In Baato Ka Koi Mol Nahi
Alag Hue Ram Siya Se
Lab Par Unke Bol Nahi

Janam Hua Fir Do Putro Ka
Nam Tha Unka Kush Luv
Khabar Nagar Me Faily Toh
Manaya Sab Ne Utsav

Vo Parakrami
Vo Gyaani The
Hridya Se Komal
Daani The

Yagya Hua Fir Ashwamedh Ka
Ghoda Pakda Luv Kush Ne
Sabko Haraya Pita Ko Paya
Jaisa Socha Sapno Me

Sati Ki Shudhi Sidh Hui
Treta Yug Se Vida Liya
Saunpa Putro Ko Prabhu Ram Ko
Dharti Me Khud Sama Liya

Antim Chand Ab Aaya Hai
Yam Ko Prabhu Ne Kiya Naman
Dwaarpal Fir Lakhan Banaya
Aye Na Bheetar Koi Saya

Saya Toh Andar Aya Na
Par Vivash Hue Khud Jane Par
Khud To Tyaga Glani Na
Ho Ram Ko Pran Nibhane Par

Kuch Bhi Acha Lagta Na Ab
Bhai Ke Dukh Me Leen Hue
Chod Chale Is Jag Ko Aur
Nadi Me Khud Vileen Hue.

Ramayan Saga Lyrics

Ramayan Saga Lyrics PDF


हमें उम्मीद है की श्री राम के भक्तो को यह आर्टिकल “Ramayan Saga Lyrics” + Video +Audio बहुत पसंद आया होगा। “Ramayan Saga Lyrics” भजन के बारे में आपके क्या विचार है वो हमे कमेंट करके अवश्य बताये।

सभी प्रकार के भजनो के lyrics + Video + Audio + PDF के लिए AllBhajanLyrics.com पर visit करे।

Leave a Comment

आरती : जय अम्बे गौरी